Dosto aaj ham hindi me janege ki computer,PC,laptop ki speed kaise badaye.Dosto main aaj aapko jo tips dena vaala hu un tips ko follow karke aap apne computer-laptop ki speed ko 200% tak increase kar sakate h Faster than Faster Sabse pahle to main aapko batana chahuga ki Computers ya laptop ki speed apne aap slow ho jati h. Speed slow hone ka sabse bada karn yahi h ki jab bhi ham apne computer ya laptop ko start karte h to refresh nhi karte. Computer ko jab bhi start kare to refresh jarur kare kayuki ye sabse important h. Ise aapke laptop ki speed fast hogi. Second speed slow hone ka karn h apne computer ko direct band  kar dena. Jo computers ki speed slow hone ka sabse bada karn h. Computers ya laptop ke direct band kar dene se aapke computers ke window par sabse jayada asar padata h. Laptop ya computer ko direct band kar dene se aapke computers me se window ki files bhi crupt ho sakati h. Jis se aapko apni window ko dubara se setup karna padega. So kabhi bhi apne computer ko direct band na kare. Mera computer bhi  isi karn kharab ho jata tha pahle par ab nhi hota uska karn h main ye sabhi tips follow karta hu. Maine bhi apne computer par pahle kaphi paise kharch kare par ab nhi karta. Main ab aapko batata hu ki apne laptop ya computer ko puri tarah se safe kaise rakhe hindi me.

Computer ya Laptop Ki Speed Kaise Badhaye

  • Antivirus Software Setup Kare

Sabse important h ki aap apne computer me antivirus software ko install kare.Antivirus application apne laptop me setup karne ke baad aapka laptop puri tarah se safe ho jata h. Kayuki virus bhi aapke computer ki speed slow kar dete h. Jis se aapke computer ki speed puri tarah se optimized nhi ho pati. Aap antivirus software ko internet se download bhi kar sakate ya computers,laptops ki repairing shop se bhi aap in software ko setup karva sakate h.Antivirus software ko aap ek computers se dusre computers ya laptop me share nhi kar sakate. So apne computer ki speed ko optimized karne ke liye apne computers me antivirus software setup kare.
  •  Deletes all %TMP% files

Jab bhi apne laptop ko start kre tab sabse pahle %temp% files ko remove kare.Temp files kaise remove kare main aapko batata hu. Sabse pahle apne computer me start button par click kare uske baad me Run par click kare.Click karne ke baad form me %temp% keyword enter kare aur apne computer ke keypad me enter button ko press kare. Ab jo aapke samne files aayegi un sabhi files ko deletes kar de. Ab in files ko Recycle Bin me se bhi deletes kar de.phir Apne computer ya laptop ko refresh karle.Temp files ko deletes karne se bhi aapke computer ya laptop ki speed increase hogi. Kayuki temp files apke computer ko distup karti h jab aap apne computer par work karte.Ye tips bhi aapke laptop ya computers ko safe rakhane ke liye important h. Aap is tips ko bhi follow kare apne computer ya laptop ko safe rakhane ke liye.
  • External Devices

Apne laptop me bar-bar external devices na dale. External devices dalne se aapke laptop ya computer me virus aa jate h.In virus se bhi aapke computer ki speed slow hogi. Agar aapke liye external device ko apne laptop me dalna important h to external devices ko dalne ke baad antivirus application me boost karle. Uske baad hi external devices ko apne computers me use kare. Is tips ko bhi follow kare aap apne laptop ya computers ki speed ko optimized karne ke liye.
  • Local Disk Ko Empty Rakhe

Hard drive computers ya laptops important part hota h. Agar aap hard drive ka acche se dhyan nhi rakhege to bhi aapke computer ki speed slow ho jaati h. Phir aapke computer ke speed increase nhi ho pati. Hard drive ko safe kaise rakhe main aapko batata hu hindi me step by step.Jab bhi computer ko start kare tab my computer me jaake sabhi local disk ko refresh kare.Aapke computer me jis local disk me window files h us local disk ko empty rakhe.Is local disk ko empty rakhne se aapke computers ki window files achhe se load hoti h aur fast work karti h. Is local disk ko empty rakhne se aapke computers ki speed faster then faster ho jati h. Aap bhi apne computer ki is local disk me faltu ki files na rakhe. Ye tips aapke computer ya laptop ki speed inrease karne ke liye most important h.
  • Software Install

Kya aapne apne computer ya laptop me unwanted software ko install kar rakha h to in software ko jaldi se remove karde.Varna jayada software aapke computer me kuchh jayada nukashan bhi pahucha sakate h.For example-Motherboard,Hard drive,RAM,Window kuchh bhi kharab ho sakta h. Software ko apne laptop ya computer me RAM aur hard disk ki memory ke hisab se rakhe.

  • Update Window

Apne computer me window ko internet se dubara download karke apne computer me dubara se setup karke bhi aap apne computer ya laptop ki speed increase kar sakate.Jayada old window me kuchh files crupt ho jati h jiske karn bhi aapke computer ki speed slow ho jaati h.So apne computer ki speed ko increase karne ke liye apne computer ya laptop me new window ko setup kare.

⇨ Basic Tips For Increasing Speed Of Computer:-

Use UPS.
Apne computer me Processor speed Badaye.
RAM Badaye.
Apne computer ko clean rakhe.

Agar kuchh puchhana h is post ke bare me to aap comment ke jariye apni problem bataye.
PC,Computers ya Laptop ke speed kaise increase kare aap bhi hame apni suggestion  de sakate h is topic par comment ke madhyam se.

Releted Keyword :- 

Computer speed faster software free download. Laptop speed fast trick. Computer speed fast trick in hindi. Computer speed faster. Internet speed fast but computer slow. How to fast laptop speed windows 7 in hindi. Computer ki speed kaise badhaye. Computer ka speed kaise badhaye. laptop ko speed kaise kare. Computer me speed kaise badhaye. apne Computer ki speed kaise badhaye.
Computer me internet speed kaise badhaye. Computer ka speed fast kaise kare. Computer ki speed kaise tej kare. Laptop ki speed kaise tez kare.

और नया पुराने

Popular Post

loading...